Friday, February 8, 2008

Moral of the story

Ek baar Chunnu class main baitha hota hai aur Masterji usse sawal poochte hain.
"India ke Capital ka Naam Batao?"
Chunnu bahut sochta hai, bahut sochta hai, aur jab thak jata hai to bolta hai.
"Masterji Nahin Pata"
Masterji gusse se laal peele ho jate hain aur Chunnu ko class se bahar nikaal dete hain.
Chunnu chalta chalta pricipal ke office ke samne se gujarta hai to principal use dekh leta hai aur poochta hai ki baahar kyon ghoom raha hai. Chunnu batata hai ki masterji ne India ka capital nahin batane ke liye class se nikaal diya.
Principal ko bhi bada gussa aata hai. Vo Chunnu ko school se nikaal deta hai.
Ab Chunnu bhatakta bhatakta diili ki sadkon main ghum raha hota hai ki Prime Minister vahan se gujarte hain aur Chunnu se poochte hain ki school time main kyon ghum raha hai. Chunnu sab bata deta hai. Sunte hi Prime Minister bhi ekdum aag babula ho jate hain aur Chunnu ko India se nikaal dete hain.
Bhichara Chunnu rota rota Sri Lanka pahuch jata hai. Vo vahan ek sadak cross kar raha hota hai ki ek car se uska accident ho jata hai.
Ab Bato ki is Story Ka Moral kya hai?
.
.
..
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Pahle Dayen Dekho, Phir Bayen Dekho, Phir Road Cross Karo!!!!

No comments: